agar sawar kai kashtiyon mein rahna hai
agar savār ka.ī kashtiyoñ meñ rahnā hai
to aañkh aañkh tumheñ kājaloñ meñ rahnā hai
bas un ke mere ḳhayālāt meñ yahīñ hai tazād
unheñ nazar meñ mujhe dhaḌkanoñ meñ rahnā hai
is ik ḳhayāl ne tā-'umr be-sukūn rakhā
ḳhayāl ye thā mujhe bādaloñ meñ rahnā hai
hamāre saath tumheñ 'umr-bhar ba-shakl-e-ġhazal
kahīñ radīf kahīñ qāfiyoñ meñ rahnā hai
maiñ chāhtā huuñ yahāñ amn hī rahe qaa.em
so ai junūn tujhe bandishoñ meñ rahnā hai
salāhiyat se ziyāda gumān meñ rahnā
isī kā naam ġhalat-fahmiyoñ meñ rahnā hai
mirā nasīb añgūThī nahīñ hai daulat-mand
maiñ ko.elā huuñ mujhe ko.eloñ meñ rahnā hai
agar sawar kai kashtiyon mein rahna hai
to aankh aankh tumhein kajalon mein rahna hai
bas un ke mere KHayalat mein yahin hai tazad
unhen nazar mein mujhe dhaDkanon mein rahna hai
is ek KHayal ne ta-'umr be-sukun rakha
KHayal ye tha mujhe baadalon mein rahna hai
hamare sath tumhein 'umr-bhar ba-shakl-e-ghazal
kahin radif kahin qafiyon mein rahna hai
main chahta hun yahan amn hi rahe qaem
so ai junun tujhe bandishon mein rahna hai
salahiyat se ziyaada guman mein rahna
isi ka nam ghalat-fahmiyon mein rahna hai
mera nasib anguThi nahin hai daulat-mand
main koela hun mujhe koelon mein rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.