agar shane pe din ke raat ka parcham nahin hota
agar shāne pe din ke raat kā parcham nahīñ hotā
ye aalam kuchh bhī hotā ḳhushnumā aalam nahīñ hotā
kisī sūrat Tapaktā zaḳhm dil kā kam nahīñ hotā
ye zaḳhm-e-dil hai ye minnat-kash-e-marham nahīñ hotā
masarrat se masarrat aur ġham se ġham nahīñ hotā
ajab hotā hai aalam jab koī aalam nahīñ hotā
bharosa nāḳhudā pe karne vaalā Duub jaatā hai
pukāre jo ḳhudā ko ġharq-e-mauj-e-yam nahīñ hotā
shahādat paa.ī hai dil ne fidā-e-gul-ruḳhāñ ho kar
shahīdoñ kā hamāre diin meñ mātam nahīñ hotā
zahe-qismat ki āġhosh-e-haram hai aur ham varna
gunāhoñ kā sila to sāġhar-e-zamzam nahīñ hotā
'na.īm' apnā liyā hai ham ne ġham saare zamāne kā
ki jab had se guzar jaatā hai ġham phir ġham nahīñ hotā
agar shane pe din ke raat ka parcham nahin hota
ye aalam kuchh bhi hota KHushnuma aalam nahin hota
kisi surat Tapakta zaKHm dil ka kam nahin hota
ye zaKHm-e-dil hai ye minnat-kash-e-marham nahin hota
masarrat se masarrat aur gham se gham nahin hota
ajab hota hai aalam jab koi aalam nahin hota
bharosa naKHuda pe karne wala Dub jata hai
pukare jo KHuda ko gharq-e-mauj-e-yam nahin hota
shahadat pai hai dil ne fida-e-gul-ruKHan ho kar
shahidon ka hamare din mein matam nahin hota
zahe-qismat ki aaghosh-e-haram hai aur hum warna
gunahon ka sila to saghar-e-zamzam nahin hota
'naim' apna liya hai hum ne gham sare zamane ka
ki jab had se guzar jata hai gham phir gham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.