agar sun le kahin be-mehr tu bhi dastan meri
agar sun le kahin be-mehr tu bhi dastan meri
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
agar sun le kahīñ be-mehr tū bhī dāstāñ merī
jigar ke paar ho jaa.e tire tarz-e-bayāñ merī
kabhī jo sadma-e-furqat se maiñ ne aah kī ai dil
zamāna ko hilā Dālegī ye āh-o-fuġhāñ merī
zamīñ kāñpe agar ma.alūm ho hālat mirī us ko
falak tharrā.e gir sun le kisī se dāstāñ merī
nigāheñ DhūñDhtī haiñ har taraf sub.h-o-masā tujh ko
ajab zālim hai tū rahtā hai nazroñ se nihāñ merī
judā.ī meñ jalegā terī misl-e-sham.a dil merā
agar kī battiyāñ ban kar jaleñgī haDDiyāñ merī
na din ko chain miltā hai na shab ko niiñd aatī hai
tirī furqat meñ ye hālat huī jān-e-jahāñ merī
ġham-e-furqat meñ hamdam haal merā pūchhtā kyā hai
nazar rahtī hai har saa.at ba-sū-e-āsmāñ merī
jahāñ meñ hai zabān-e-ḳhalq par har-dam but-e-ḳhud-sar
jafā terī vafā merī sitam terā fuġhāñ merī
ḳhudārā ik nigāh-e-lutf ho 'unsī' kī jānib bhī
ye kahte kahte tujh se sang-dil sūkhī zabāñ merī
agar sun le kahin be-mehr tu bhi dastan meri
jigar ke par ho jae tere tarz-e-bayan meri
kabhi jo sadma-e-furqat se main ne aah ki ai dil
zamana ko hila Dalegi ye aah-o-fughan meri
zamin kanpe agar malum ho haalat meri us ko
falak tharrae gir sun le kisi se dastan meri
nigahen DhunDhti hain har taraf subh-o-masa tujh ko
ajab zalim hai tu rahta hai nazron se nihan meri
judai mein jalega teri misl-e-shama dil mera
agar ki battiyan ban kar jalengi haDDiyan meri
na din ko chain milta hai na shab ko nind aati hai
teri furqat mein ye haalat hui jaan-e-jahan meri
gham-e-furqat mein hamdam haal mera puchhta kya hai
nazar rahti hai har saat ba-su-e-asman meri
jahan mein hai zaban-e-KHalq par har-dam but-e-KHud-sar
jafa teri wafa meri sitam tera fughan meri
KHudara ek nigah-e-lutf ho 'unsi' ki jaanib bhi
ye kahte kahte tujh se sang-dil sukhi zaban meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.