agar tum dil hamara le ke pachhtae to rahne do
agar tum dil hamārā le ke pachhtā.e to rahne do
na kaam aa.e to vāpas do jo kaam aa.e to rahne do
mirā rahnā tumhāre dar pe logoñ ko khaTaktā hai
agar kah do to uTh jā.ūñ jo rahm aa.e to rahne do
kahīñ aisā na karnā vasl kā va.ada to karte ho
ki tum ko phir koī kuchh aur samjhā.e to rahne do
dil apnā bechtā huuñ vājibī daam us ke do bose
jo qīmat do to lo qīmat na dī jaa.e to rahne do
dil-e-'muztar' kī betābī se dam uljhe to vāpas do
agar marzī bhī ho aur dil na ghabrā.e to rahne do
agar tum dil hamara le ke pachhtae to rahne do
na kaam aae to wapas do jo kaam aae to rahne do
mera rahna tumhaare dar pe logon ko khaTakta hai
agar kah do to uTh jaun jo rahm aae to rahne do
kahin aisa na karna wasl ka wada to karte ho
ki tum ko phir koi kuchh aur samjhae to rahne do
dil apna bechta hun wajibi dam us ke do bose
jo qimat do to lo qimat na di jae to rahne do
dil-e-'muztar' ki betabi se dam uljhe to wapas do
agar marzi bhi ho aur dil na ghabrae to rahne do
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 155)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.