agar tumko mujhse mohabbat na hoti
agar tum ko mujh se mohabbat na hotī
ye saudā na hotā ye vahshat na hotī
jo husn-e-nazar kār-farmā na hotā
jahāñ meñ koī achchhī sūrat na hotī
butoñ se agar hotī ḳhālī ye duniyā
ḳhudā kī bhī koī haqīqat na hotī
terī yaad ke saath aate na aañsū
agar mujh ko tujh se mohabbat na hotī
jo hotā na maiñ kushta-e-ishq 'qaisar'
ye sūrat na hotī ye hālat na hotī
agar tum ko mujh se mohabbat na hoti
ye sauda na hota ye wahshat na hoti
jo husn-e-nazar kar-farma na hota
jahan mein koi achchhi surat na hoti
buton se agar hoti KHali ye duniya
KHuda ki bhi koi haqiqat na hoti
teri yaad ke sath aate na aansu
agar mujh ko tujh se mohabbat na hoti
jo hota na main kushta-e-ishq 'qaisar'
ye surat na hoti ye haalat na hoti
- Hadees-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.