agar tumhaare nam ki nahin rahi
agar tumhāre naam kī nahīñ rahī
to phir ye 'umr kaam kī nahīñ rahī
jo chhāj thā anaaj kā ulaT gayā
ġhizā bhī ghar meñ shaam kī nahīñ rahī
hameñ vo martabe 'atā kiye ga.e
hameñ kisī maqām kī nahīñ rahī
badal diye haiñ naam aur maqām sab
ye dāstāñ to kaam kī nahīñ rahī
kanīz aa ga.ī pasand shaam ko
kanīz ab ġhulām kī nahīñ rahī
fanā ko ab fanā meñ hī qarār hai
fanā ko ab davām kī nahīñ rahī
mire samet ghar se pheñk dī ga.ī
har ek shai jo kaam kī nahīñ rahī
bharā hai peT is badan ko bech kar
kamā.ī ab harām kī nahīñ rahī
agar tumhaare nam ki nahin rahi
to phir ye 'umr kaam ki nahin rahi
jo chhaj tha anaj ka ulaT gaya
ghiza bhi ghar mein sham ki nahin rahi
hamein wo martabe 'ata kiye gae
hamein kisi maqam ki nahin rahi
badal diye hain nam aur maqam sab
ye dastan to kaam ki nahin rahi
kaniz aa gai pasand sham ko
kaniz ab ghulam ki nahin rahi
fana ko ab fana mein hi qarar hai
fana ko ab dawam ki nahin rahi
mere samet ghar se phenk di gai
har ek shai jo kaam ki nahin rahi
bhara hai peT is badan ko bech kar
kamai ab haram ki nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.