agar tu sath chal paDta safar aasan ho jata
agar tū saath chal paḌtā safar āsān ho jaatā
ḳhushī se umr bhar jiine kā ik sāmān ho jaatā
na jā kar kyuuñ jatātā hai jo jaanā thā chalā jaatā
bahut hotā to ye hotā ki maiñ hairān ho jaatā
jo merī samt tū do gaam bhī hañs kar chalā aatā
maiñ tere aur tū mere liye īmān ho jaatā
ḳhushī se mujh pe kyā jaane guzar jaanī thī phir 'hāmid'
ghaḌī pal ko bhī tū mujh par jo kuchh qurbān ho jaatā
agar tu sath chal paDta safar aasan ho jata
KHushi se umr bhar jine ka ek saman ho jata
na ja kar kyun jatata hai jo jaana tha chala jata
bahut hota to ye hota ki main hairan ho jata
jo meri samt tu do gam bhi hans kar chala aata
main tere aur tu mere liye iman ho jata
KHushi se mujh pe kya jaane guzar jaani thi phir 'hamid'
ghaDi pal ko bhi tu mujh par jo kuchh qurban ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.