agar wo jhuT bhi bole to hum sach man lete hain
agar wo jhuT bhi bole to hum sach man lete hain
Ganesh Gaikwad Aaghaz
MORE BYGanesh Gaikwad Aaghaz
agar vo jhuuT bhī bole to ham sach maan lete haiñ
naqāboñ meñ chhupe chehroñ ko ham pahchān lete haiñ
zarūrat tiir yā talvār kī un ko nahīñ hotī
nazar kī maar se vo āshiqoñ kī jaan lete haiñ
vahāñ to jis ko bhī jaanā hai ḳhālī haath jaanā hai
na jaane log phir kyoñ is qadar sāmān lete haiñ
ināyat kī karam kī ik nazar karte haiñ badle meñ
kabhī vo jaan lete haiñ kabhī īmān lete haiñ
irāde par aTal rahte haiñ ai 'āġhāz' ham apne
vahī sab kar guzarte haiñ jo man meñ Thaan lete haiñ
agar wo jhuT bhi bole to hum sach man lete hain
naqabon mein chhupe chehron ko hum pahchan lete hain
zarurat tir ya talwar ki un ko nahin hoti
nazar ki mar se wo aashiqon ki jaan lete hain
wahan to jis ko bhi jaana hai KHali hath jaana hai
na jaane log phir kyon is qadar saman lete hain
inayat ki karam ki ek nazar karte hain badle mein
kabhi wo jaan lete hain kabhi iman lete hain
irade par aTal rahte hain ai 'aghaz' hum apne
wahi sab kar guzarte hain jo man mein Than lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.