agar ye chehra yunhi gard se aTa rahega
agar ye chehra yūñhī gard se aTā rahegā
yahāñ ke dasht-mizājoñ kā hausla rahegā
ham aise aise zamānoñ se ho ke aa.e haiñ
ki ḳhvāb vāloñ ko ḳhvāboñ se ik gila rahegā
maiñ chāhtā huuñ mohabbat meñ zaḳhm aa.e mujhe
maiñ bach gayā to mohabbat meñ kyā maza rahegā
gile karo ki mohabbat meñ jaan paḌ jaa.e
gale lago ki yuuñ rone se silsila rahegā
agar ye chehra yunhi gard se aTa rahega
yahan ke dasht-mizajon ka hausla rahega
hum aise aise zamanon se ho ke aae hain
ki KHwab walon ko KHwabon se ek gila rahega
main chahta hun mohabbat mein zaKHm aae mujhe
main bach gaya to mohabbat mein kya maza rahega
gile karo ki mohabbat mein jaan paD jae
gale lago ki yun rone se silsila rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.