agar ye karke dikhlao to jaanen
agar ye karke dikhlāo to jāneñ
rihā.ī ḳhud se jo paao to jāneñ
zamāne ko nasīhat karne vaalo
kabhī ḳhud ko bhī samjhāo to jāneñ
ḳhushī ke haiñ bahut gāhak jahāñ meñ
kisī kā dard apnāo to jāneñ
tumheñ us paar jaane kā yaqīñ hai
sahārā ye bhī Thukrāo to jāneñ
sunā hai dost manzil-āshnā ho
kisī ko raah par laao to jāneñ
kashish hotī hai koī jazb-e-dil meñ
kabhī chupke se aa jaao to jāneñ
jise pahlī mohabbat ne kahā thā
kabhī vo baat doharāo jā jāneñ
agar ye karke dikhlao to jaanen
rihai KHud se jo pao to jaanen
zamane ko nasihat karne walo
kabhi KHud ko bhi samjhao to jaanen
KHushi ke hain bahut gahak jahan mein
kisi ka dard apnao to jaanen
tumhein us par jaane ka yaqin hai
sahaara ye bhi Thukrao to jaanen
suna hai dost manzil-ashna ho
kisi ko rah par lao to jaanen
kashish hoti hai koi jazb-e-dil mein
kabhi chupke se aa jao to jaanen
jise pahli mohabbat ne kaha tha
kabhi wo baat doharao ja jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.