agar ye rah mein buDha shajar nahin hota
agar ye raah meñ būḌhā shajar nahīñ hotā
shadīd dhuup meñ mujh se safar nahīñ hotā
amīr-zāde jo ḳhud ko sañbhāl kar rakhte
haveliyoñ kā muqaddar khañDar nahīñ hotā
lahū jalā ke ujālā karūñ maiñ kitnā hī
nayā charāġh kabhī mo'atabar nahīñ hotā
ga.e zamānoñ ke sikke liye maiñ baiThā huuñ
kisī faqīr kā yaañ se guzar nahīñ hotā
masā.il itne na milte jo ham ko virse meñ
hamāre paas ġhazal kā hunar nahīñ hotā
agar ye rah mein buDha shajar nahin hota
shadid dhup mein mujh se safar nahin hota
amir-zade jo KHud ko sanbhaal kar rakhte
haweliyon ka muqaddar khanDar nahin hota
lahu jala ke ujala karun main kitna hi
naya charagh kabhi mo'atabar nahin hota
gae zamanon ke sikke liye main baiTha hun
kisi faqir ka yan se guzar nahin hota
masail itne na milte jo hum ko wirse mein
hamare pas ghazal ka hunar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.