agar ye raat hasin hai to din jawan nikal
agar ye raat hasīñ hai to din javān nikāl
koī to rāsta donoñ ke darmiyān nikāl
ḳhudā ne joḌā banāyā hai har bashar ke liye
tū is jahān se apne liye jahān nikāl
na ek buuñd mirī chhat se Tapke ai me.amār
is ehtiyāt se chhat kī mire Dhalān nikāl
bahut salīs hai mujh ko halāl kar lenā
tū us kā zikr na kar aur merī jaan nikāl
kisī ke vasl se kāTūñ nahīñ maiñ us kā firāq
baġhair naql ḳhudā merā imtihān nikāl
tū dil meñ dard liye ḳhush nahīñ rahegā sun
agar sukūn tujhe chāhiye to maan nikāl
shanāḳht kar na sake merī merā mustaqbil
tū mere chehre se maazī ke sab nishān nikāl
agar ye raat hasin hai to din jawan nikal
koi to rasta donon ke darmiyan nikal
KHuda ne joDa banaya hai har bashar ke liye
tu is jahan se apne liye jahan nikal
na ek bund meri chhat se Tapke ai meamar
is ehtiyat se chhat ki mere Dhalan nikal
bahut salis hai mujh ko halal kar lena
tu us ka zikr na kar aur meri jaan nikal
kisi ke wasl se kaTun nahin main us ka firaq
baghair naql KHuda mera imtihan nikal
tu dil mein dard liye KHush nahin rahega sun
agar sukun tujhe chahiye to man nikal
shanaKHt kar na sake meri mera mustaqbil
tu mere chehre se mazi ke sab nishan nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.