agar yun aaina dekha na jae
agar yuuñ ā.īna dekhā na jaa.e
tumhāre māsivā dekhā na jaa.e
lagā lo mujh ko siine se ḳhudārā
ki dil dil se judā dekhā na jaa.e
nikal jaa.e sanam-ḳhāne se aazar
ye patthar kā ḳhudā dekhā na jaa.e
tumhīñ socho zamāna kyā kahegā
agar achchhā-burā dekhā na jaa.e
shikasta dil garebāñ chaak 'betāb'
ye haal aur aap kā dekhā na jaa.e
agar yun aaina dekha na jae
tumhaare masiwa dekha na jae
laga lo mujh ko sine se KHudara
ki dil dil se juda dekha na jae
nikal jae sanam-KHane se aazar
ye patthar ka KHuda dekha na jae
tumhin socho zamana kya kahega
agar achchha-bura dekha na jae
shikasta dil gareban chaak 'betab'
ye haal aur aap ka dekha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.