agar zahid tu mahfil mein hamari ek bar aae
agar zāhid tū mahfil meñ hamārī ek baar aa.e
usī jānib ko phir uTheñ qadam be-iḳhtiyār aa.e
jo aa.e mai-kade se be-ḳhud-o-msatānā-vār aa.e
kahīñ aisā na ho bā-hosh koī bāda-ḳhvār aa.e
dil-o-īmāñ-o-dīñ hosh-o-ḳhirad kuchh bhī nahīñ baaqī
kisī kī ham nigāh-e-nāz kā sadqa utaar aa.e
pilā.ī aaj maiḳhāne meñ nazroñ se sharāb aisī
duā dete hue saaqī ko saare bāda-ḳhvār aa.e
sitam sah sah ke kaaTī umr saarī uf na kī ham ne
vafāoñ kā mirī ai kaash un ko e'tibār aa.e
agar zahid tu mahfil mein hamari ek bar aae
usi jaanib ko phir uThen qadam be-iKHtiyar aae
jo aae mai-kade se be-KHud-o-msatana-war aae
kahin aisa na ho ba-hosh koi baada-KHwar aae
dil-o-iman-o-din hosh-o-KHirad kuchh bhi nahin baqi
kisi ki hum nigah-e-naz ka sadqa utar aae
pilai aaj maiKHane mein nazron se sharab aisi
dua dete hue saqi ko sare baada-KHwar aae
sitam sah sah ke kaTi umr sari uf na ki hum ne
wafaon ka meri ai kash un ko e'tibar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.