agarche ab tar-o-taza nahin hun
agarche ab tar-o-tāza nahīñ huuñ
sila huuñ phir bhī ḳhamyāza nahīñ huuñ
raqīboñ ko khaḌā chup-chāp dekhūñ
maiñ tere ghar kā darvāza nahīñ huuñ
yahāñ ab log bahre ho ga.e haiñ
yā phir ab maiñ hī āvāza nahīñ huuñ
bikhar jā.ūñ faqat ik kaj-adā se
kisī 'āshiq kā shīrāza nahīñ huuñ
nazar kirdār par bhī rakhtā huuñ bas
asīr-e-'ishva-o-ġhāza nahīñ huuñ
agarche ab tar-o-taza nahin hun
sila hun phir bhi KHamyaza nahin hun
raqibon ko khaDa chup-chap dekhun
main tere ghar ka darwaza nahin hun
yahan ab log bahre ho gae hain
ya phir ab main hi aawaza nahin hun
bikhar jaun faqat ek kaj-ada se
kisi 'ashiq ka shiraaza nahin hun
nazar kirdar par bhi rakhta hun bas
asir-e-'ishwa-o-ghaza nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.