agarche ahd-e-junun ki hikayaten hain aur
agarche ahd-e-junūñ kī hikāyateñ haiñ aur
zabān-e-ḳhalq pe lekin rivāyateñ haiñ aur
tavajjohāt to haiñ un kī dūsrī par bhī
hamāre haal pe lekin ināyateñ haiñ aur
yahī nahīñ ki uThā.ī nigāh dekh liyā
kisī ġharīb ke dil kī ri.āyateñ haiñ aur
kahāñ kā shukr kahāñ kā sipās ai 'hairat'
yahāñ to chāragaroñ se shikāyateñ haiñ aur
agarche ahd-e-junun ki hikayaten hain aur
zaban-e-KHalq pe lekin riwayaten hain aur
tawajjohat to hain un ki dusri par bhi
hamare haal pe lekin inayaten hain aur
yahi nahin ki uThai nigah dekh liya
kisi gharib ke dil ki riayaten hain aur
kahan ka shukr kahan ka sipas ai 'hairat'
yahan to chaaragaron se shikayaten hain aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.