agarche bagh-o-chaman ki bahaar hai ghuncha
agarche bāġh-o-chaman kī bahār hai ġhuncha
pe tū na ho.e to nazroñ meñ ḳhaar hai ġhuncha
lagī hai teġh-e-nigah kis kī ye batā bulbul
ki TukḌe hai jigar-e-gul figār hai ġhuncha
jale hai is liye dil bulbuloñ kā ai gul-rū
ki tere mukhḌe pe jī se nisār hai ġhuncha
tire laboñ se jo tashbīh dījiye to ġhalat
yuuñ apnī tarah meñ rangīñ hazār hai ġhuncha
hañsā hai tū magar us ke dahan pe ai gul-rū
jo munfa.il basar-e-shāḳh-sār hai ġhuncha
zarūr kyā hai jo gulshan meñ jaa.eñ chhoḌ tujhe
tirā hī muñh hameñ ai gul-ezār hai ġhuncha
tū us kā bosa jo letā hai dam-ba-dam 'afsos'
kisī dahan kā magar yādgār hai ġhuncha
agarche bagh-o-chaman ki bahaar hai ghuncha
pe tu na hoe to nazron mein KHar hai ghuncha
lagi hai tegh-e-nigah kis ki ye bata bulbul
ki TukDe hai jigar-e-gul figar hai ghuncha
jale hai is liye dil bulbulon ka ai gul-ru
ki tere mukhDe pe ji se nisar hai ghuncha
tere labon se jo tashbih dijiye to ghalat
yun apni tarah mein rangin hazar hai ghuncha
hansa hai tu magar us ke dahan pe ai gul-ru
jo munfail basar-e-shaKH-sar hai ghuncha
zarur kya hai jo gulshan mein jaen chhoD tujhe
tera hi munh hamein ai gul-ezar hai ghuncha
tu us ka bosa jo leta hai dam-ba-dam 'afsos'
kisi dahan ka magar yaadgar hai ghuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.