agarche be-hisi-e-dil mujhe gawara nahin
agarche be-hisī-e-dil mujhe gavārā nahīñ
baġhair tark-e-mohabbat bhī koī chāra nahīñ
maiñ kyā batā.ūñ mire dil pe kyā guzartī hai
bajā ki ġham mire chehre se āshkārā nahīñ
havas hai sahl magar is qadar bhī sahl nahīñ
ziyān-e-dil to hai gar jaan kā ḳhasārā nahīñ
na farsh par koī jugnū na arsh par taarā
kahīñ bhī soz-e-tamannā kā ab sharārā nahīñ
ḳhudā kare ki fareb-e-vafā rahe qaa.em
ki zindagī kā koī aur ab sahārā nahīñ
agarche be-hisi-e-dil mujhe gawara nahin
baghair tark-e-mohabbat bhi koi chaara nahin
main kya bataun mere dil pe kya guzarti hai
baja ki gham mere chehre se aashkara nahin
hawas hai sahl magar is qadar bhi sahl nahin
ziyan-e-dil to hai gar jaan ka KHasara nahin
na farsh par koi jugnu na arsh par tara
kahin bhi soz-e-tamanna ka ab sharara nahin
KHuda kare ki fareb-e-wafa rahe qaem
ki zindagi ka koi aur ab sahaara nahin
- Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 200)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.