agarche dil tha ghamon se figar aur raha
agarche dil thā ġhamoñ se figār aur rahā
magar gila thā zi-bas nāgavār aur rahā
kisī ko raah mire ghar kī yaad hī na rahī
maiñ intizār meñ thā be-qarār aur rahā
zamāna khā.egā qasmeñ hamārī azmat kī
ye daur-e-ġham jo zarā sāzgār aur rahā
huā hai kab safar-e-zindagī tamām ki jab
na rāste meñ koī ḳhār-zār aur rahā
sahāb-e-lutf na kisht-e-umīd par barsā
chaman karam kā thā ummīd-vār aur rahā
ye lījiye dil-e-sad-pāra aur hāzir hai
ye ek kushta-e-lail-o-nahār aur rahā
yahī azal se hai dastūr-e-dostī 'fitrat'
vafā kā tishna thā har dost-dār aur rahā
agarche dil tha ghamon se figar aur raha
magar gila tha zi-bas nagawar aur raha
kisi ko rah mere ghar ki yaad hi na rahi
main intizar mein tha be-qarar aur raha
zamana khaega qasmen hamari azmat ki
ye daur-e-gham jo zara sazgar aur raha
hua hai kab safar-e-zindagi tamam ki jab
na raste mein koi KHar-zar aur raha
sahab-e-lutf na kisht-e-umid par barsa
chaman karam ka tha ummid-war aur raha
ye lijiye dil-e-sad-para aur hazir hai
ye ek kushta-e-lail-o-nahaar aur raha
yahi azal se hai dastur-e-dosti 'fitrat'
wafa ka tishna tha har dost-dar aur raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.