agarche dushwar tha magar zer kar liya tha
agarche dushvār thā magar zer kar liyā thā
anā kā rasta sahl samajh kar jo sar liyā thā
vo kahkashāoñ kī had se aage kahīñ basā hai
talab meñ jis kī zamīñ pe bosīda ghar liyā thā
guloñ kī chāhat meñ ek din kyā bichhāyā hogā
ki ham ne kāñToñ se apnā dāmān bhar liyā thā
baḌhāyā us ne jo garm-joshī se haath yaaro
nahīñ thā maslak agarche nazrāna par liyā thā
usī kā baḳhshā huā thā sab kuchh to der kaisī
bas ik ishāre pe kāsa-e-jān dhar liyā thā
dil-e-shikasta kī muddatoñ tak ḳhabar na aa.ī
khulā ki muTThī meñ tū ne ai fitna-gar liyā thā
'adū ne chāloñ se chit kiyā hai 'rashīd-hasrat'
vagarna ham ne bhī asp to nāmvar liyā thā
agarche dushwar tha magar zer kar liya tha
ana ka rasta sahl samajh kar jo sar liya tha
wo kahkashaon ki had se aage kahin basa hai
talab mein jis ki zamin pe bosida ghar liya tha
gulon ki chahat mein ek din kya bichhaya hoga
ki hum ne kanTon se apna daman bhar liya tha
baDhaya us ne jo garm-joshi se hath yaro
nahin tha maslak agarche nazrana par liya tha
usi ka baKHsha hua tha sab kuchh to der kaisi
bas ek ishaare pe kasa-e-jaan dhar liya tha
dil-e-shikasta ki muddaton tak KHabar na aai
khula ki muTThi mein tu ne ai fitna-gar liya tha
'adu ne chaalon se chit kiya hai 'rashid-hasrat'
wagarna hum ne bhi asp to namwar liya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.