agarche ghair ke hathon lahuluhan hua
agarche ġhair ke hāthoñ lahūluhān huā
magar maiñ apnī taraf se bhī bad-gumān huā
jo paḌ gayā thā kabhī ḳhud mirī nigāhoñ par
vo ek parda mire haq meñ āsmān huā
vo jis ke vāste duniyā thī gosh-bar-āvāz
vo mājrā mirī āñkhoñ hī se bayān huā
talāsh us kī thī maqsūd dair-o-kā'ba kyā
hamārā ruḳh thā jidhar us kā ik nishān huā
hamāre zarf ko kyā āzmāte ahl-e-havas
isī bahāne ḳhud un kā bhī imtihān huā
bahut malūl the jis dāman-e-darīda par
vahī safīna-e-hastī kā bādbān huā
azal se thā vo hamāre vujūd kā hissa
vo ek shaḳhs ki jo ham pe mehrbān huā
zarā jo tez chale ham to koī saath na thā
hisār-e-fikr hī bas apnā pāsbān huā
agarche ghair ke hathon lahuluhan hua
magar main apni taraf se bhi bad-guman hua
jo paD gaya tha kabhi KHud meri nigahon par
wo ek parda mere haq mein aasman hua
wo jis ke waste duniya thi gosh-bar-awaz
wo majra meri aankhon hi se bayan hua
talash us ki thi maqsud dair-o-ka'ba kya
hamara ruKH tha jidhar us ka ek nishan hua
hamare zarf ko kya aazmate ahl-e-hawas
isi bahane KHud un ka bhi imtihan hua
bahut malul the jis daman-e-darida par
wahi safina-e-hasti ka baadban hua
azal se tha wo hamare wujud ka hissa
wo ek shaKHs ki jo hum pe mehrban hua
zara jo tez chale hum to koi sath na tha
hisar-e-fikr hi bas apna pasban hua
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 47)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.