agarche jaanne walon ke sath chalte hain
agarche jānñe vāloñ ke saath chalte haiñ
magar ham apne savāloñ ke saath chalte haiñ
talab to dekh hamārī tire nagar kī taraf
ham apne paañv ke chhāloñ ke saath chalte haiñ
sab apne apne tazādoñ ke dam se haiñ zinda
sab apne apne havāloñ ke saath chalte haiñ
badan sambhāl ke chalnā shikāriyoñ ke hujūm
saḌak pe reshmī jāloñ ke saath chalte haiñ
safar ke vāste vo rāsta chunā jis par
azaab qāfile vāloñ ke saath chalte haiñ
maiñ TūTtā huā taarā huuñ kitne andeshe
mire nahīf ujāloñ ke saath chalte haiñ
agarche jaanne walon ke sath chalte hain
magar hum apne sawalon ke sath chalte hain
talab to dekh hamari tere nagar ki taraf
hum apne panw ke chhaalon ke sath chalte hain
sab apne apne tazadon ke dam se hain zinda
sab apne apne hawalon ke sath chalte hain
badan sambhaal ke chalna shikariyon ke hujum
saDak pe reshmi jalon ke sath chalte hain
safar ke waste wo rasta chuna jis par
azab qafile walon ke sath chalte hain
main TuTta hua tara hun kitne andeshe
mere nahif ujalon ke sath chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.