agarche lai thi kal raat kuchh najat hawa
agarche laa.ī thī kal raat kuchh najāt havā
uḌā ke le ga.ī bādal bhī saath saath havā
maiñ kuchh kahūñ bhī to kaise ki vo samajhte haiñ
hamārī zaat havā hai hamārī baat havā
unheñ ye ḳhabt hai vo qaid ham ko kar leñge
tumhīñ batāo ki aa.ī hai kis ke haath havā
kisī bhī shaḳhs meñ Thahrāo naam kā bhī nahīñ
hameñ to lagtī hai ye saarī kā.enāt havā
uḌā ke phūloñ ke jismoñ se ḳhushbueñ saarī
kare hai mere liye paidā mushkilāt havā
'atīq' bujhtā bhī kaise charāġh-e-dil merā
lagī thī us kī hifāzat meñ saarī raat havā
agarche lai thi kal raat kuchh najat hawa
uDa ke le gai baadal bhi sath sath hawa
main kuchh kahun bhi to kaise ki wo samajhte hain
hamari zat hawa hai hamari baat hawa
unhen ye KHabt hai wo qaid hum ko kar lenge
tumhin batao ki aai hai kis ke hath hawa
kisi bhi shaKHs mein Thahrao nam ka bhi nahin
hamein to lagti hai ye sari kaenat hawa
uDa ke phulon ke jismon se KHushbuen sari
kare hai mere liye paida mushkilat hawa
'atiq' bujhta bhi kaise charagh-e-dil mera
lagi thi us ki hifazat mein sari raat hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.