agarche mulk mein gunge bahut hain
agarche mulk meñ gūñge bahut haiñ
zabāñ vaale magar sachche bahut haiñ
yahāñ mahfil meñ jo hañste bahut haiñ
akele meñ vahī rote bahut haiñ
mohabbat ke liye maazī ko paḌhnā
purāne daur ke qisse bahut haiñ
taraqqī ḳhaak us country kī hogī
jahāñ dañge sadā hote bahut haiñ
abhī se dhuup meñ jalne lage ho
abhī to shāḳh par patte bahut haiñ
chalo fōtpath par tum ko dikhā duuñ
yahāñ nange yahāñ bhūke bahut haiñ
ḳhudā kī maslahat bhī dīdanī hai
ġharīboñ ke yahāñ bachche bahut haiñ
maiñ e v m nahīñ jo saath dūñgā
maiñ kaise kah duuñ din achchhe bahut haiñ
tumhārī ḳhūbiyāñ zāhir haiñ 'rahbar'
tumhāre naam ke charche bahut haiñ
agarche mulk mein gunge bahut hain
zaban wale magar sachche bahut hain
yahan mahfil mein jo hanste bahut hain
akele mein wahi rote bahut hain
mohabbat ke liye mazi ko paDhna
purane daur ke qisse bahut hain
taraqqi KHak us country ki hogi
jahan dange sada hote bahut hain
abhi se dhup mein jalne lage ho
abhi to shaKH par patte bahut hain
chalo footpath par tum ko dikha dun
yahan nange yahan bhuke bahut hain
KHuda ki maslahat bhi didani hai
gharibon ke yahan bachche bahut hain
main e w m nahin jo sath dunga
main kaise kah dun din achchhe bahut hain
tumhaari KHubiyan zahir hain 'rahbar'
tumhaare nam ke charche bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.