agarche munh se wo kahta nahin hai
agarche muñh se vo kahtā nahīñ hai
magar haal us kā kuchh achchhā nahīñ hai
muqābil ā.īna hai sochtā huuñ
ye chehra to mirā chehra nahīñ hai
vahāñ karte rahe sahrā-navardī
jahāñ kosoñ koī saayā nahīñ hai
suno ki zard mausam ke asar se
guloñ kā haal kuchh achchhā nahīñ hai
jale sapne bujhī chashm-e-tamannā
magar ab tak koī aayā nahīñ hai
na jaane raat bhar kyoñ sochtā huuñ
ye zindāñ hai mirā kamra nahīñ hai
akele meñ milūñ pāshā se kaise
kisī lamha bhī vo tanhā nahīñ hai
agarche munh se wo kahta nahin hai
magar haal us ka kuchh achchha nahin hai
muqabil aaina hai sochta hun
ye chehra to mera chehra nahin hai
wahan karte rahe sahra-nawardi
jahan koson koi saya nahin hai
suno ki zard mausam ke asar se
gulon ka haal kuchh achchha nahin hai
jale sapne bujhi chashm-e-tamanna
magar ab tak koi aaya nahin hai
na jaane raat bhar kyon sochta hun
ye zindan hai mera kamra nahin hai
akele mein milun pasha se kaise
kisi lamha bhi wo tanha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.