agarche muskura kar mangta hai
agarche muskurā kar māñgtā hai
vo merī jaan aksar māñgtā hai
sabhī kuchh chāhiye us aadmī ko
magar ehsās banjar māñgtā hai
zabānī pūchhtā hai prashn mujh se
magar likh kar hī uttar māñgtā hai
pata hai pyaar kī qillat use bhī
mohabbat kab gadāgar māñgtā hai
havas insān kī kitnī hai dekho
vo qatroñ se samundar māñgtā hai
vo tum se chhīn bhī legā kisī din
abhī tak jo saham kar māñgtā hai
vo jaatā oḌh kar āḳhir kafan hī
'nazar' jo zindagī bhar māñgtā hai
agarche muskura kar mangta hai
wo meri jaan aksar mangta hai
sabhi kuchh chahiye us aadmi ko
magar ehsas banjar mangta hai
zabani puchhta hai prashn mujh se
magar likh kar hi uttar mangta hai
pata hai pyar ki qillat use bhi
mohabbat kab gadagar mangta hai
hawas insan ki kitni hai dekho
wo qatron se samundar mangta hai
wo tum se chhin bhi lega kisi din
abhi tak jo saham kar mangta hai
wo jata oDh kar aaKHir kafan hi
'nazar' jo zindagi bhar mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.