agarche rah mein koh-e-giran the
agarche raah meñ koh-e-girāñ the
magar ham bhī to kitne saḳht-jāñ the
charāġh-e-anjuman samjhe the jin ko
zarā nazdīk se dekhā dhuāñ the
ye ilm-o-fan ke saare ābgīne
sar-e-bāzār jins-e-rā.egāñ the
ye dil kaise lagegā lā-makāñ meñ
mirī bastī meñ sab kaun-o-makāñ the
havelī aur urdu saath ujḌe
yahāñ pahle baḌe ahl-e-zabāñ the
bahut din baad aa.e mai-kade meñ
vo saaqī thā na vo pīr-e-muġhāñ the
agarche rah mein koh-e-giran the
magar hum bhi to kitne saKHt-jaan the
charagh-e-anjuman samjhe the jin ko
zara nazdik se dekha dhuan the
ye ilm-o-fan ke sare aabgine
sar-e-bazar jins-e-raegan the
ye dil kaise lagega la-makan mein
meri basti mein sab kaun-o-makan the
haweli aur urdu sath ujDe
yahan pahle baDe ahl-e-zaban the
bahut din baad aae mai-kade mein
wo saqi tha na wo pir-e-mughan the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.