agarche sab se milegi tumhaari shahzadi
agarche sab se milegī tumhārī shahzādī
magar tumhārī rahegī tumhārī shahzādī
jo dekh loge zarā muskurā ke tum mujh ko
ġhazab ke sher kahegī tumhārī shahzādī
shab-e-visāl agar ho nasīb shahzāde
to ban ke phuul khilegī tumhārī shahzādī
tumhāre sāmne tum par jo sher kahtī hai
mushā.eron meñ paḌhegī tumhārī shahzādī
jo ro.o.ge to 'tabassum' bhī saath ro.egī
hañsāoge to hañsnegī tumhārī shahzādī
agarche sab se milegi tumhaari shahzadi
magar tumhaari rahegi tumhaari shahzadi
jo dekh loge zara muskura ke tum mujh ko
ghazab ke sher kahegi tumhaari shahzadi
shab-e-visal agar ho nasib shahzade
to ban ke phul khilegi tumhaari shahzadi
tumhaare samne tum par jo sher kahti hai
mushaeron mein paDhegi tumhaari shahzadi
jo rooge to 'tabassum' bhi sath roegi
hansaoge to hansnegi tumhaari shahzadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.