agarche saKHt safar hai dhuan ghana hoga
agarche saḳht safar hai dhuāñ ghanā hogā
kahīñ koī to mirī raah dekhtā hogā
tamām hotā kahāñ hai kabhī nadī kā safar
vo jā mile to samundar bhī rāsta hogā
azaab aa.e sitam aa.e sāneha aa.e
maiñ muntazir huuñ ki kuchh ziist meñ nayā hogā
maiñ mar gayā to mirī buzdilī ḳhabar hogī
maiñ jī gayā to tirā shukriya adā hogā
sitāre Taañk rahā hai jo ḳhvāb meñ sab ke
vo surḳhiyoñ se ḳhabar kī hī lāpata hogā
vo jis ne ham ko bhulāve sī zindagī dī hai
zarūr us ne koī rāsta diyā hogā
agarche saKHt safar hai dhuan ghana hoga
kahin koi to meri rah dekhta hoga
tamam hota kahan hai kabhi nadi ka safar
wo ja mile to samundar bhi rasta hoga
azab aae sitam aae saneha aae
main muntazir hun ki kuchh zist mein naya hoga
main mar gaya to meri buzdili KHabar hogi
main ji gaya to tera shukriya ada hoga
sitare Tank raha hai jo KHwab mein sab ke
wo surKHiyon se KHabar ki hi lapata hoga
wo jis ne hum ko bhulawe si zindagi di hai
zarur us ne koi rasta diya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.