agarche shakl-o-shabahat se kam nahin darwesh
agarche shakl-o-shabāhat se kam nahīñ darvesh
jinheñ tū DhūñD rahā hai vo ham nahīñ darvesh
bas ik nazar kī ijāzat hai aur chaltā ban
samajh zarā ki musalsal bhī ram nahīñ darvesh
ghirā huā hai mukammal havā ke narġhe meñ
magar charāġh kī gardan meñ ḳham nahīñ darvesh
vo ek shaḳhs hamārā nahīñ huā ab tak
sivā.e is ke to koī bhī ġham nahīñ darvesh
kanār-e-chashm-e-tamannā jo aa ruke 'āsim'
hudūd-e-ashk meñ itnā bhī nam nahīñ darvesh
agarche shakl-o-shabahat se kam nahin darwesh
jinhen tu DhunD raha hai wo hum nahin darwesh
bas ek nazar ki ijazat hai aur chalta ban
samajh zara ki musalsal bhi ram nahin darwesh
ghira hua hai mukammal hawa ke narghe mein
magar charagh ki gardan mein KHam nahin darwesh
wo ek shaKHs hamara nahin hua ab tak
siwae is ke to koi bhi gham nahin darwesh
kanar-e-chashm-e-tamanna jo aa ruke 'asim'
hudud-e-ashk mein itna bhi nam nahin darwesh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.