agarche shola ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai
agarche shola ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai
Ameer Raza Mazhari
MORE BYAmeer Raza Mazhari
agarche sho'la ayaañ nahīñ hai agarche lab par dhuāñ nahīñ hai
nihāñ jise ham samajh rahe haiñ vo aag dil kī nihāñ nahīñ hai
ye raah vo hai ki har musāfir ke tajrabe jis meñ muḳhtalif haiñ
vo kaun insāñ hai zindagī jis kī ik na.ī dāstāñ nahīñ hai
kidhar ko jaa.eñ kise pukāreñ muḌeñ ki aage hī baḌhte jaa.eñ
ġhubār kā bhī tire sahārā hameñ to ai kārvāñ nahīñ hai
zarā ye sahrā ko jaane vāloñ se koī pūchhe kahāñ chale tum
kahīñ hai koī zamīn aisī jahāñ pe ye āsmāñ nahīñ hai
vo mehrbāñ ho to vasvasa ye ki mehrbānī ye daf.atan kyoñ
vo sargirāñ hai to hai ye hasrat ki haa.e vo mehrbāñ nahīñ hai
ye dil kī paiham sī be-qarārī nazar kī harkāt-e-iztirārī
aur us pe isrār-e-parda-dārī ki jaise vo rāz-dāñ nahīñ hai
vahī hikāyat dil-o-nazar kī vahī kahānī hai chashm-e-tar kī
'razā' ye merī ġhazal-sarā.ī na.ī koī dāstāñ nahīñ hai
agarche sho'la ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai
nihan jise hum samajh rahe hain wo aag dil ki nihan nahin hai
ye rah wo hai ki har musafir ke tajrabe jis mein muKHtalif hain
wo kaun insan hai zindagi jis ki ek nai dastan nahin hai
kidhar ko jaen kise pukaren muDen ki aage hi baDhte jaen
ghubar ka bhi tere sahaara hamein to ai karwan nahin hai
zara ye sahra ko jaane walon se koi puchhe kahan chale tum
kahin hai koi zamin aisi jahan pe ye aasman nahin hai
wo mehrban ho to waswasa ye ki mehrbani ye dafatan kyon
wo sargiran hai to hai ye hasrat ki hae wo mehrban nahin hai
ye dil ki paiham si be-qarari nazar ki harkat-e-iztirari
aur us pe israr-e-parda-dari ki jaise wo raaz-dan nahin hai
wahi hikayat dil-o-nazar ki wahi kahani hai chashm-e-tar ki
'raza' ye meri ghazal-sarai nai koi dastan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.