agarche tarz-e-amal us ka nagawar bhi tha
agarche tarz-e-amal us kā nāgavār bhī thā
magar vo mere tasavvur kā shāhkār bhī thā
vo bevafā mujhe tanhā fareb kyā detā
qusūr-vār mirā apnā e.atibār bhī thā
ham aise gum the masā.il meñ dhyān hī na rahā
vo aa gayā to lagā us kā intizār bhī thā
ba-zāhir us ke laboñ par hañsī rahī lekin
dam-e-vidā.a vo dar-parda be-qarār bhī thā
jis anjuman meñ bahut ġham uThā.e dukh jhele
us anjuman meñ mirā ek ġham-gusār bhī thā
vo kaun shaḳhs thā kal raat bazm-e-yārāñ meñ
jo qahqahoñ meñ bhī shāmil thā sogvār bhī thā
agarche tarz-e-amal us ka nagawar bhi tha
magar wo mere tasawwur ka shahkar bhi tha
wo bewafa mujhe tanha fareb kya deta
qusur-war mera apna eatibar bhi tha
hum aise gum the masail mein dhyan hi na raha
wo aa gaya to laga us ka intizar bhi tha
ba-zahir us ke labon par hansi rahi lekin
dam-e-widaa wo dar-parda be-qarar bhi tha
jis anjuman mein bahut gham uThae dukh jhele
us anjuman mein mera ek gham-gusar bhi tha
wo kaun shaKHs tha kal raat bazm-e-yaran mein
jo qahqahon mein bhi shamil tha sogwar bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.