agarche usne likha hua hai jahan-e-fani mein mar dena
agarche us ne likhā huā hai jahān-e-fānī meñ maar denā
makān vaale se iltijā hai ki lā-makānī meñ maar denā
mire azīzo maiñ jā rahā huuñ mirī vasiyyat ko yaad rakhnā
jo mujh sā koī bhī ek dekho use javānī meñ maar denā
mujhe hai ma.alūm ai musannif ki merā kirdār sānvī hai
jahāñ izāfī lage tumheñ ye mujhe kahānī meñ maar denā
maiñ jāntā huuñ ki zo.af-e-pīrī to chhīn letā hai bolnā bhī
zabāñ meñ luknat se peshtar hī mujhe ravānī meñ maar denā
unheñ buḌhāpe meñ chhoḌnā mat nahīf ḳhvāboñ ko toḌnā mat
za.iif maañ baap ko na tum un kī zindagānī meñ maar denā
mujhe tumhāre sitam kī nisbat karam tumhārā azīz-tar hai
so dasht-e-ġham se bachā ke sahrā-e-mehrbānī meñ maar denā
agar ye Dar hai ki āstīñ par mire lahū ke nishān hoñge
tumheñ suhūlat maiñ de rahā huuñ ki mujh ko paanī meñ maar denā
sabhī mohabbat kī baat karte haiñ maiñ mohabbat nibhā rahā huuñ
so mārnā ho to apne 'dānish' ko jurm-e-sānī meñ maar denā
agarche us ne likha hua hai jahan-e-fani mein mar dena
makan wale se iltija hai ki la-makani mein mar dena
mere azizo main ja raha hun meri wasiyyat ko yaad rakhna
jo mujh sa koi bhi ek dekho use jawani mein mar dena
mujhe hai malum ai musannif ki mera kirdar sanwi hai
jahan izafi lage tumhein ye mujhe kahani mein mar dena
main jaanta hun ki zoaf-e-piri to chhin leta hai bolna bhi
zaban mein luknat se peshtar hi mujhe rawani mein mar dena
unhen buDhape mein chhoDna mat nahif KHwabon ko toDna mat
zaif man bap ko na tum un ki zindagani mein mar dena
mujhe tumhaare sitam ki nisbat karam tumhaara aziz-tar hai
so dasht-e-gham se bacha ke sahra-e-mehrbani mein mar dena
agar ye Dar hai ki aastin par mere lahu ke nishan honge
tumhein suhulat main de raha hun ki mujh ko pani mein mar dena
sabhi mohabbat ki baat karte hain main mohabbat nibha raha hun
so marna ho to apne 'danish' ko jurm-e-sani mein mar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.