agarche zauq-dan mein baDe kathan bhi hain
agarche zauq-dān meñ baḌe kathan bhī haiñ
yahīñ taḳhayyulāt ke hue nidhan bhī haiñ
aqīdateñ sañbhālnā tumheñ pata nahīñ
ki vaqt ke ḳhudāoñ meñ kamīne-pan bhī haiñ
batāo nā-murād ke 'ajīb shauq haiñ
rijhā.e haiñ ki chuum lo mire charan bhī haiñ
mire 'ajīb ḳhabt pe mubāhise na kar
bahut sī maḳhlūqāt to ishāratan bhī haiñ
maiñ apne jild-sāz ke kahenusār huuñ
jo be-libās haiñ miyāñ vo be-badan bhī haiñ
ye mo.ajizāt kyā khuleñge mujh haqīr se
'qamar' kī baat chhoḌiye ka.ī gagan bhī haiñ
agarche zauq-dan mein baDe kathan bhi hain
yahin taKHayyulat ke hue nidhan bhi hain
aqidaten sanbhaalna tumhein pata nahin
ki waqt ke KHudaon mein kamine-pan bhi hain
batao na-murad ke 'ajib shauq hain
rijhae hain ki chum lo mere charan bhi hain
mere 'ajib KHabt pe mubahise na kar
bahut si maKHluqat to ishaaratan bhi hain
main apne jild-saz ke kahenusar hun
jo be-libas hain miyan wo be-badan bhi hain
ye moajizat kya khulenge mujh haqir se
'qamar' ki baat chhoDiye kai gagan bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.