agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai
agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai
Jameeluddin Aali
MORE BYJameeluddin Aali
aglī galī meñ rahtā hai aur milne tak nahīñ aatā hai
kahtā hai takalluf kyā karnā ham tum meñ to pyaar kā naatā hai
kahtā hai ziyāda milne se va.adoñ kī ḳhalish baḌh jā.egī
kuchh va.ade vaqt pe bhī chhoḌo dekho vo kyā dikhlātā hai
kahtā hai tumhārā dosh na thā kuchh ham ko bhī apnā hosh na thā
phir hañstā hai phir rotā hai phir chup ho kar rah jaatā hai
ḳhud us se kahā ghar aane ko aur us ke binā mar jaane ko
aur ab jo vo kuchh āvāra huā jī rah rah kar ghabrātā hai
ai bachcho ai hañsne vaalo tārīḳh-e-mohabbat paḌh Daalo
dil vaale ke dil par qaid nahīñ har umr meñ Thokar khātā hai
agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai
kahta hai takalluf kya karna hum tum mein to pyar ka nata hai
kahta hai ziyaada milne se wadon ki KHalish baDh jaegi
kuchh wade waqt pe bhi chhoDo dekho wo kya dikhlata hai
kahta hai tumhaara dosh na tha kuchh hum ko bhi apna hosh na tha
phir hansta hai phir rota hai phir chup ho kar rah jata hai
KHud us se kaha ghar aane ko aur us ke bina mar jaane ko
aur ab jo wo kuchh aawara hua ji rah rah kar ghabraata hai
ai bachcho ai hansne walo tariKH-e-mohabbat paDh Dalo
dil wale ke dil par qaid nahin har umr mein Thokar khata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.