ahbab chhuTe mahbub chhuTe ghar chhuT gaya dar chhuT gaya
ahbāb chhuTe mahbūb chhuTe ghar chhūT gayā dar chhūT gayā
jab dil se tamanna chhūT ga.ī sab rishta naatā TuuT gayā
ai sāqī-e-bazm-e-kaif-e-hayāt ab mujh ko pyāsā jaane de
mai jis meñ mirī taqdīr kī thī vo shīsha tujh se TuuT gayā
go shīsha-gar-e-qudrat ne bahut TuuTe hue shīshe joḌ diye
lekin ye hamārā shīsha-e-dil joḌā na gayā yuuñ TuuT gayā
is saaz pe naġhma ab chheḌo to naala paidā hotā hai
maujūd haiñ vo sab taar jo the bas ek nahīñ hai TuuT gayā
ham rote haiñ apne pyāroñ ko aur fitrat ham se kahtī hai
ab aur khilaunoñ se khelo jo TuuT gayā so TuuT gayā
vo raah meñ hai āñkhoñ meñ hai dam ai bād-e-sabā āhista guzar
haiñ tār-e-nafas par hachkole ab TuuT gayā ab TuuT gayā
kahte ho ki māñgo jo māñgo batlāo tumhī ham kyā māñgeñ
chāhā thā ki māñgeñ tum se tumheñ ye ho na sakā jī chhūT gayā
haañ sun ki tujhe thī ham se ġharaz mohtāj-e-nazar thā husn tirā
rakkhī rahī shān-e-istiġhnā āḳhir ko ye bhāñDā phuuT gayā
ye dil to vahī dil hai 'rizvī' ābād bhī thā vīrān bhī hai
armānoñ kī is bastī ko kal ek musāfir luuT gayā
ahbab chhuTe mahbub chhuTe ghar chhuT gaya dar chhuT gaya
jab dil se tamanna chhuT gai sab rishta nata TuT gaya
ai saqi-e-bazm-e-kaif-e-hayat ab mujh ko pyasa jaane de
mai jis mein meri taqdir ki thi wo shisha tujh se TuT gaya
go shisha-gar-e-qudrat ne bahut TuTe hue shishe joD diye
lekin ye hamara shisha-e-dil joDa na gaya yun TuT gaya
is saz pe naghma ab chheDo to nala paida hota hai
maujud hain wo sab tar jo the bas ek nahin hai TuT gaya
hum rote hain apne pyaron ko aur fitrat hum se kahti hai
ab aur khilaunon se khelo jo TuT gaya so TuT gaya
wo rah mein hai aankhon mein hai dam ai baad-e-saba aahista guzar
hain tar-e-nafas par hachkole ab TuT gaya ab TuT gaya
kahte ho ki mango jo mango batlao tumhi hum kya mangen
chaha tha ki mangen tum se tumhein ye ho na saka ji chhuT gaya
han sun ki tujhe thi hum se gharaz mohtaj-e-nazar tha husn tera
rakkhi rahi shan-e-istighna aaKHir ko ye bhanDa phuT gaya
ye dil to wahi dil hai 'rizwi' aabaad bhi tha viran bhi hai
armanon ki is basti ko kal ek musafir luT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.