ahbab mere sare ke sare badal gae
ahbāb mere saare ke saare badal ga.e
nigah-e-karam ke jab se ishāre badal ga.e
hasrat hai dekhne kī na jalvoñ meñ dilkashī
nazreñ badal ga.iiñ ki nazāre badal ga.e
kāñdhoñ pe zimmedāriyāñ jis din se aa ga.iiñ
tab se tamām shauq hamāre badal ga.e
dast-e-darāz ham ne kiyā māñgī bhiik tak
lekin vafā se dost hamāre badal ga.e
taqdīr ham pe hone hī vaalī thī mehrbāñ
phir yuuñ huā nasīb ke taare badal ga.e
jis roz tere aane kī laa.ī ḳhabar havā
us roz gul-kade meñ sharāre badal ga.e
badlā 'ḳhumār' vaqt hamārā to daf.atan
mohsin tamām badle sahāre badal ga.e
ahbab mere sare ke sare badal gae
nigah-e-karam ke jab se ishaare badal gae
hasrat hai dekhne ki na jalwon mein dilkashi
nazren badal gain ki nazare badal gae
kandhon pe zimmedariyan jis din se aa gain
tab se tamam shauq hamare badal gae
dast-e-daraaz hum ne kiya mangi bhik tak
lekin wafa se dost hamare badal gae
taqdir hum pe hone hi wali thi mehrban
phir yun hua nasib ke tare badal gae
jis roz tere aane ki lai KHabar hawa
us roz gul-kade mein sharare badal gae
badla 'KHumar' waqt hamara to dafatan
mohsin tamam badle sahaare badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.