ahbab to hain dard se par aashna nahin
ahbāb to haiñ dard se par āshnā nahīñ
is shahr-e-be-vafā meñ koī aasrā nahīñ
muddat huī hai us se koī rābta hue
jo shaḳhs ek pal ke liye bhūltā nahīñ
vā'de pe e'tibār tire kis tarah karūñ
mujh ko yaqīñ nahīñ hai ki tū bevafā nahīñ
har samt log sahme hue tere shahr meñ
ye dekh kar zamīr tirā jāgtā nahīñ
mere vatan ke log to tarseñ sukūn ko
hai zulm is qadar ki koī intihā nahīñ
qissa visāl-o-hijr 'ajab yuuñ lagā tujhe
maiñ ne jo ahl-e-dil kabhī pahle kahā nahīñ
'shamsa' mohabbatoñ kā hai mausam nayā nayā
ye jurm mujh se pahle to sarzad huā nahīñ
ahbab to hain dard se par aashna nahin
is shahr-e-be-wafa mein koi aasra nahin
muddat hui hai us se koi rabta hue
jo shaKHs ek pal ke liye bhulta nahin
wa'de pe e'tibar tere kis tarah karun
mujh ko yaqin nahin hai ki tu bewafa nahin
har samt log sahme hue tere shahr mein
ye dekh kar zamir tera jagta nahin
mere watan ke log to tarsen sukun ko
hai zulm is qadar ki koi intiha nahin
qissa visal-o-hijr 'ajab yun laga tujhe
main ne jo ahl-e-dil kabhi pahle kaha nahin
'shamsa' mohabbaton ka hai mausam naya naya
ye jurm mujh se pahle to sarzad hua nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.