ahd-e-gum-gashta ki nishani hun
ahd-e-gum-gashta kī nishānī huuñ
ek bhūlī huī kahānī huuñ
vo ḳhushī huuñ jo dard sulgā.e
aag jis se lage vo paanī huuñ
ek aañsū huuñ chashm-e-ishrat kā
ziist kā ranj-e-shādmānī huuñ
apnī barbādiyoñ pe yaad aayā
kitnī ābādiyoñ kā baanī huuñ
sīna-e-dasht par huuñ mauj-e-sarāb
ḳhushk dariyāoñ kī ravānī huuñ
ā.ina-ḳhāna-e-zamāna meñ
'aks apnā huuñ apnā saanī huuñ
ik tabassum kī aas meñ 'rāhī'
kab se mahrūm-e-shādmānī huuñ
ahd-e-gum-gashta ki nishani hun
ek bhuli hui kahani hun
wo KHushi hun jo dard sulgae
aag jis se lage wo pani hun
ek aansu hun chashm-e-ishrat ka
zist ka ranj-e-shadmani hun
apni barbaadiyon pe yaad aaya
kitni aabaadiyon ka bani hun
sina-e-dasht par hun mauj-e-sarab
KHushk dariyaon ki rawani hun
aaina-KHana-e-zamana mein
'aks apna hun apna sani hun
ek tabassum ki aas mein 'rahi'
kab se mahrum-e-shadmani hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.