ahd-e-nau ki siskiyon ka saz hai meri ghazal
ahd-e-nau kī siskiyoñ kā saaz hai merī ġhazal
soz meñ Duubī huī āvāz hai merī ġhazal
zindagī kā naġhma-e-sad-sāz hai merī ġhazal
vaqt ke har aks kī ġhammāz hai merī ġhazal
us kī rag rag meñ haiñ merī dhaḌkanoñ kī vus.ateñ
mere har hamrāz kī hamrāz hai merī ġhazal
shaiḳh 'sādī' se nahīñ mujh ko koī nisbat magar
ahl-e-fan ko dāvat-e-shīrāz hai merī ġhazal
jo jadīd uslūb ko degī rivāyat kā shu.ūr
is na.ī tahrīk kā āġhāz hai merī ġhazal
ahd-e-nau ki siskiyon ka saz hai meri ghazal
soz mein Dubi hui aawaz hai meri ghazal
zindagi ka naghma-e-sad-saz hai meri ghazal
waqt ke har aks ki ghammaz hai meri ghazal
us ki rag rag mein hain meri dhaDkanon ki wusaten
mere har hamraaz ki hamraaz hai meri ghazal
shaiKH 'sadi' se nahin mujh ko koi nisbat magar
ahl-e-fan ko dawat-e-shiraaz hai meri ghazal
jo jadid uslub ko degi riwayat ka shuur
is nai tahrik ka aaghaz hai meri ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.