‘ahd-e-rifaqat kis ne toDa
‘ahd-e-rifāqat kis ne toḌā
kis ne kis ko pīchhe chhoḌā
bigḌī baat banā.ī kis ne
TuuTā rishta kis ne joḌā
mazmūñ ye bhī ġhaur-talab hai
kis ne kis kā ḳhuun nichoḌā
zālim hī zālim thā jis ne
dil sā nāzuk shīsha toḌā
dil par thā ik naaz so vo bhī
ban gayā dikhte dikhte phoḌā
lafz hī gul-pāshī karte haiñ
lafz hī ban jaate haiñ koḌā
un kī mantiq kā kyā kahnā
aage gaaḌī pīchhe ghoḌā
chaltī gaaḌī meñ kyā kahiye
jab koī aTkā.e roḌā
ābādī ko hosh na aaya
barbādī ne laakh jhiñjhoḌā
apnoñ kī be-rāh-ravī par
jitnā bhī mātam ho thoḌā
ye ilzām ġhalat hai 'hairat'
ham ne vafā se kab muñh moḌā
‘ahd-e-rifaqat kis ne toDa
kis ne kis ko pichhe chhoDa
bigDi baat banai kis ne
TuTa rishta kis ne joDa
mazmun ye bhi ghaur-talab hai
kis ne kis ka KHun nichoDa
zalim hi zalim tha jis ne
dil sa nazuk shisha toDa
dil par tha ek naz so wo bhi
ban gaya dikhte dikhte phoDa
lafz hi gul-pashi karte hain
lafz hi ban jate hain koDa
un ki mantiq ka kya kahna
aage gaDi pichhe ghoDa
chalti gaDi mein kya kahiye
jab koi aTkae roDa
aabaadi ko hosh na aaya
barbaadi ne lakh jhinjhoDa
apnon ki be-rah-rawi par
jitna bhi matam ho thoDa
ye ilzam ghalat hai 'hairat'
hum ne wafa se kab munh moDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.