ahd-e-shabab mausam-e-KHandan hai aur hum
ahd-e-shabab mausam-e-KHandan hai aur hum
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
'ahd-e-shabāb mausam-e-ḳhandāñ hai aur ham
har-sū nigār jalva-faroshāñ hai aur ham
mahfūz dil meñ shorish-e-paikāñ hai aur ham
ḳhalvat-navāz ḳhātir-e-mehmāñ hai aur ham
sabr-āzmā tasavvur-e-jānāñ hai aur ham
āñkhoñ meñ aaj hashr kā sāmāñ hai aur ham
ik manzar-e-guzārish-e-pinhāñ hai aur ham
un ke huzūr dīda-e-hairāñ hai aur ham
daur-e-sharāb sohbat-e-rindāñ hai aur ham
sāġhar-ba-dast chashm-e-hasīnāñ hai aur ham
ehsās ne gunāh kī duniyā sameT lī
ab rahmat-e-tamām kā dāmāñ hai aur ham
sāġhar meñ aaj 'āriz-e-sāqī kā 'aks hai
kāfir banā.e jaane kā sāmāñ hai aur ham
hikmat se ho rahī haiñ tamanna-navāziyāñ
tashkīl-e-ḳhvāb hāsil-e-armāñ hai aur ham
takmīl ho rahī hai mohabbat kī is tarah
mehmānī-e-tasavvur-e-jānāñ hai aur ham
mushkil hai 'shād' rahnā girānī ke daur meñ
ab pairvī-e-gosha-nashīnāñ hai aur ham
'ahd-e-shabab mausam-e-KHandan hai aur hum
har-su nigar jalwa-faroshan hai aur hum
mahfuz dil mein shorish-e-paikan hai aur hum
KHalwat-nawaz KHatir-e-mehman hai aur hum
sabr-azma tasawwur-e-jaanan hai aur hum
aankhon mein aaj hashr ka saman hai aur hum
ek manzar-e-guzarish-e-pinhan hai aur hum
un ke huzur dida-e-hairan hai aur hum
daur-e-sharab sohbat-e-rindan hai aur hum
saghar-ba-dast chashm-e-hasinan hai aur hum
ehsas ne gunah ki duniya sameT li
ab rahmat-e-tamam ka daman hai aur hum
saghar mein aaj 'ariz-e-saqi ka 'aks hai
kafir banae jaane ka saman hai aur hum
hikmat se ho rahi hain tamanna-nawaziyan
tashkil-e-KHwab hasil-e-arman hai aur hum
takmil ho rahi hai mohabbat ki is tarah
mehmani-e-tasawwur-e-jaanan hai aur hum
mushkil hai 'shad' rahna girani ke daur mein
ab pairwi-e-gosha-nashinan hai aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.