ahd-e-wafa ne jaan liya intizar ko
'ahd-e-vafā ne jaan liyā intizār ko
mushkil meñ lā diyā hai bahut apne pyaar ko
kahte the vo hamāre hī mahbūb haiñ sanam
de kar bharosa toḌ diyā dil ke taar ko
zaḳhmī jigar huā hai ye nazroñ ke sāmne
ḳhush ho rahā hai dekh ke dil be-qarār ko
vā'da kiyā thā gul se satā.eñge ab nahīñ
sahrā meñ lā ke chhoḌ diyā intizār ko
badlā hai ye zamāna yā merā nasīb hai
maiñ chāhtī rahī thī baḌe shāhkār ko
kar to diyā hai tark-e-marāsim ḳhushī ḳhushī
kyā aarzū kareñ bhalā dil kī bahār ko
har aah zaḳhm detī rahī zindagī tujhe
tā-'umr phuul sā hī sañbhālā thā ḳhaar ko
jin raah se guzar ke ga.e the kabhī jo tum
mahkā rahī hai ḳhushbū vo dil ke dayār ko
kaise kare bharosa ye sonā sitāroñ kā
ḳhud chāñd bhī ye tarsā hai sūraj ke pyaar ko
'ahd-e-wafa ne jaan liya intizar ko
mushkil mein la diya hai bahut apne pyar ko
kahte the wo hamare hi mahbub hain sanam
de kar bharosa toD diya dil ke tar ko
zaKHmi jigar hua hai ye nazron ke samne
KHush ho raha hai dekh ke dil be-qarar ko
wa'da kiya tha gul se sataenge ab nahin
sahra mein la ke chhoD diya intizar ko
badla hai ye zamana ya mera nasib hai
main chahti rahi thi baDe shahkar ko
kar to diya hai tark-e-marasim KHushi KHushi
kya aarzu karen bhala dil ki bahaar ko
har aah zaKHm deti rahi zindagi tujhe
ta-'umr phul sa hi sanbhaala tha KHar ko
jin rah se guzar ke gae the kabhi jo tum
mahka rahi hai KHushbu wo dil ke dayar ko
kaise kare bharosa ye sona sitaron ka
KHud chand bhi ye tarsa hai suraj ke pyar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.