ahd-e-wafa se apne mukar jaana chahiye
'ahd-e-vafā se apne mukar jaanā chāhiye
ab lag rahā hai lauT ke ghar jaanā chāhiye
ham ne girā diyā hai tujhe har maqām se
tujh ko to yaar sharm se mar jaanā chāhiye
hairat hai yaar tujh ko nadāmat talak nahīñ
ab to gunāhoñ se tujhe Dar jaanā chāhiye
din to guzar gayā hai alam meñ paḌe paḌe
ab shaam ho chalī hai sañvar jaanā chāhiye
'tāriq' bahut dinoñ se hai dil par ġhubār-e-ġham
us kī galī se aaj guzar jaanā chāhiye
'ahd-e-wafa se apne mukar jaana chahiye
ab lag raha hai lauT ke ghar jaana chahiye
hum ne gira diya hai tujhe har maqam se
tujh ko to yar sharm se mar jaana chahiye
hairat hai yar tujh ko nadamat talak nahin
ab to gunahon se tujhe Dar jaana chahiye
din to guzar gaya hai alam mein paDe paDe
ab sham ho chali hai sanwar jaana chahiye
'tariq' bahut dinon se hai dil par ghubar-e-gham
us ki gali se aaj guzar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.