ahl-e-danish ko KHabar kya kya hai pagal ka mizaj
ahl-e-dānish ko ḳhabar kyā kyā hai pāgal kā mizāj
sañg-bāroñ ko hai kab ma.alūm ghāyal kā mizāj
kis taraf se hai guzarnā aur barasnā hai kahāñ
bas havāoñ ko patā rahtā hai bādal kā mizāj
mere sar par rah ke bhī mujh par na saaya kar sakā
merī qismat se kahāñ miltā hai āñchal kā mizāj
tujh ko palkoñ meñ chhupā kar maiñ parastish kar to luuñ
āñsuoñ ke saath bah jaatā hai kājal kā mizāj
jitnā bhī chāhūñ nikalnā Dūbtī jaatī huuñ maiñ
terī yādoñ meñ milā hai mujh ko daldal kā mizāj
'mīnā' sadiyāñ aa.iiñ aur tārīḳh ban kar rah ga.iiñ
lamha lamha jāntā hai mere har pal kā mizāj
ahl-e-danish ko KHabar kya kya hai pagal ka mizaj
sang-baron ko hai kab malum ghayal ka mizaj
kis taraf se hai guzarna aur barasna hai kahan
bas hawaon ko pata rahta hai baadal ka mizaj
mere sar par rah ke bhi mujh par na saya kar saka
meri qismat se kahan milta hai aanchal ka mizaj
tujh ko palkon mein chhupa kar main parastish kar to lun
aansuon ke sath bah jata hai kajal ka mizaj
jitna bhi chahun nikalna Dubti jati hun main
teri yaadon mein mila hai mujh ko daldal ka mizaj
'mina' sadiyan aain aur tariKH ban kar rah gain
lamha lamha jaanta hai mere har pal ka mizaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.