ahl-e-daulat bhi kuchh log kya ho gae
ahl-e-daulat bhī kuchh log kyā ho ga.e
māl-o-zar un ke jaise ḳhudā ho ga.e
haal mat pūchhiye mujh se is daur kā
log yuuñ ġharq-e-mauj-e-balā ho ga.e
kārvāñ kaise mahfūz rah pā.egā
jo the rahzan vahī rahnumā ho ga.e
jinkī har shaam rindoñ meñ guzrī kabhī
vo bhī kuchh roz se pārsā ho ga.e
vā.iz-e-mohtaram ko sar-e-mai-kada
dekh kar log hairat-zada ho ga.e
apnā hamrāz samjhā hamesha jinheñ
vo bhī ab mujh se nā-āshnā ho ga.e
daadā 'ārif' kī shafqat kā ye faiz hai
tum jo 'hassān' naġhma-sarā ho ga.e
ahl-e-daulat bhi kuchh log kya ho gae
mal-o-zar un ke jaise KHuda ho gae
haal mat puchhiye mujh se is daur ka
log yun gharq-e-mauj-e-bala ho gae
karwan kaise mahfuz rah paega
jo the rahzan wahi rahnuma ho gae
jinki har sham rindon mein guzri kabhi
wo bhi kuchh roz se parsa ho gae
waiz-e-mohtaram ko sar-e-mai-kada
dekh kar log hairat-zada ho gae
apna hamraaz samjha hamesha jinhen
wo bhi ab mujh se na-ashna ho gae
dada 'arif' ki shafqat ka ye faiz hai
tum jo 'hassan' naghma-sara ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.