ahl-e-dil ahl-e-nazar sham-o-sahar roya kiye
ahl-e-dil ahl-e-nazar shām-o-sahar royā kiye
dard ke putle the āḳhir umr bhar royā kiye
hāl-e-ahl-e-dard ne un ko rulāyā umr bhar
jin ko hairat thī ye kyūñkar raat bhar royā kiye
dil kī majbūrī pe rone se jo maiñ rokā gayā
bebasī se dil ke chhāle phuuT kar royā kiye
pās-e-nāmūs-e-mohabbat ne kuchh aisā kah diyā
sar jhukā kar ham to vo muñh pher kar royā kiye
jin se halchal thī jahān-e-āshiqī meñ mere ba.ad
aise nāloñ ke liye dard-o-asar royā kiye
zauq-e-girya dil ko thā jaane vahī us kā sabab
kyā batā.eñ tujh ko ham kyoñ umr bhar royā kiye
ham na kahte the ki itnī saḳhtiyāñ achchhī nahīñ
tum na 'beḳhud' ko miTā kar umr bhar royā kiye
ahl-e-dil ahl-e-nazar sham-o-sahar roya kiye
dard ke putle the aaKHir umr bhar roya kiye
haal-e-ahl-e-dard ne un ko rulaya umr bhar
jin ko hairat thi ye kyunkar raat bhar roya kiye
dil ki majburi pe rone se jo main roka gaya
bebasi se dil ke chhaale phuT kar roya kiye
pas-e-namus-e-mohabbat ne kuchh aisa kah diya
sar jhuka kar hum to wo munh pher kar roya kiye
jin se halchal thi jahan-e-ashiqi mein mere baad
aise nalon ke liye dard-o-asar roya kiye
zauq-e-girya dil ko tha jaane wahi us ka sabab
kya bataen tujh ko hum kyon umr bhar roya kiye
hum na kahte the ki itni saKHtiyan achchhi nahin
tum na 'beKHud' ko miTa kar umr bhar roya kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.