ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage
ahl-e-dil bhī dekhiye ab kyā se kyā karne lage
shīshagar bhī pattharoñ se mashvara karne lage
de diyā hai tajrabāt-e-zindagī ko ruḳh nayā
aaj ham apne ta.iiñ har faisla karne lage
mas.aloñ kā hal nazar aa.egā kaise dosto
ham dar-e-aġhyār par jab iltijā karne lage
is liye vo jūjhte haiñ roz-o-shab hālāt se
jo zarā sī baat par jhagḌā khaḌā karne lage
ye siyāsī log banjāroñ key tarah dekhiye
bastiyoñ se duur jā kar ratjagā karne lage
hazrat-e-ayyūb ko kyā paḌh liyā tum ne 'bahār'
sābiroñ kī zindagī par tabsira karne lage
ahl-e-dil bhi dekhiye ab kya se kya karne lage
shishagar bhi pattharon se mashwara karne lage
de diya hai tajrabaat-e-zindagi ko ruKH naya
aaj hum apne tain har faisla karne lage
masalon ka hal nazar aaega kaise dosto
hum dar-e-aghyar par jab iltija karne lage
is liye wo jujhte hain roz-o-shab haalat se
jo zara si baat par jhagDa khaDa karne lage
ye siyasi log banjaron key tarah dekhiye
bastiyon se dur ja kar ratjaga karne lage
hazrat-e-ayyub ko kya paDh liya tum ne 'bahaar'
sabiron ki zindagi par tabsira karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.