ahl-e-dil fasanon mein zikr-e-yar karte hain
ahl-e-dil fasānoñ meñ zikr-e-yār karte haiñ
muskurā ke mahfil ko ashk-bār karte haiñ
bad-nasīb dhartī kī dāstāñ hī aisī hai
is ke chāhne vaale is pe vaar karte haiñ
dhajjiyoñ ke saudā-gar aa.eñ aa ke le jaa.eñ
ham ḳhushī se dāman ko tār-tār karte haiñ
hādsoñ ke kandhoñ par jism-o-jāñ ko le aao
aspatāl ke kamre intizār karte haiñ
bhūlī-bisrī yādoñ ke barf-dān meñ rakh do
ḳhvāb jo tumheñ aksar be-qarār karte haiñ
joḌ-toḌ lafzoñ kā shā.irī nahīñ hotā
log jaane kyoñ aisā baar baar karte haiñ
ahl-e-dil fasanon mein zikr-e-yar karte hain
muskura ke mahfil ko ashk-bar karte hain
bad-nasib dharti ki dastan hi aisi hai
is ke chahne wale is pe war karte hain
dhajjiyon ke sauda-gar aaen aa ke le jaen
hum KHushi se daman ko tar-tar karte hain
hadson ke kandhon par jism-o-jaan ko le aao
aspatal ke kamre intizar karte hain
bhuli-bisri yaadon ke barf-dan mein rakh do
KHwab jo tumhein aksar be-qarar karte hain
joD-toD lafzon ka shairi nahin hota
log jaane kyon aisa bar bar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.