ahl-e-dil kyunkar rahen rahne ke ye qabil nahin
ahl-e-dil kyūñkar raheñ rahne ke ye qābil nahīñ
is jagah pathar bahut milte haiñ lekin dil nahīñ
al-madad mauj-e-talātum al-madad dariyā-e-ishq
kashti-e-dil kis taraf jaa.e kahīñ sāhil nahīñ
aur baḌhnā hai abhī aage had-e-idrāk se
jis ko maiñ samjhā thā manzil vo mirī manzil nahiñ
kyā sunā.ūñ aap ko maiñ dāstān-e-zindagī
mere qaabū meñ zabān-e-shauq to hai dil nahīñ
jaam bhī hai sāqi-e-gul-gūñ-qabā bhī hai 'riyāz'
jis ko nazreñ DhūñDtī haiñ vo sar-e-mahfil nahiñ
ahl-e-dil kyunkar rahen rahne ke ye qabil nahin
is jagah pathar bahut milte hain lekin dil nahin
al-madad mauj-e-talatum al-madad dariya-e-ishq
kashti-e-dil kis taraf jae kahin sahil nahin
aur baDhna hai abhi aage had-e-idrak se
jis ko main samjha tha manzil wo meri manzil nahin
kya sunaun aap ko main dastan-e-zindagi
mere qabu mein zaban-e-shauq to hai dil nahin
jam bhi hai saqi-e-gul-gun-qaba bhi hai 'riyaz'
jis ko nazren DhunDti hain wo sar-e-mahfil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.